Categories
Islamic SMS in Religious sms - Page 2
Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya tum mai se jab koi jumma(friday) ki nimaz k liye aana chahe to isse ghusal kar lena chahiye...
(sahih bhukhari-vol-2,kitab-ul-jumma,hadees#877)
Ek ajib haqiqat .100rs ka note bhaut zadya lagta hai jab MASJID me diya jaye mgr music cd kharidne k liye bhaut chota lagta hai ,5 min ki NAMAZ padhni bhut mushkil hai mgr 3 ghante ki film dekhna bhaut aasan hai ,1din cricket k liye log pagal hote hai magar jume ka khutba thoda lamba hojaye to log tang aate hai is msg ko share karna bhaut mushkil ho jata he,jabk fizool jokes ko share karna hamara farz banjata hai, so pl like n share this msg to ur friend
Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ka irshad hai ki jis ne mere tareeq-e-hayat ko pasand kiya is ne waqihi muj se mohabbat ki aur jis ne bhi muj se mohabbat ki wo mere sath jannat me hoga..
HASD:
Hazrat Abu Huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) se riwayat hai ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya: khabardaar hasd se daman-e-dil ko is tarah bachao jaise koi aag se bachta hai, kyuki hasd momin k naik aamal aur ache kirdar ko is tarah jala kar rakh kar deta hai jaise aag eendhan ko jala deti hai...
Hazrat Abu Musaa(raziallahu-ta'ala-anhu) se riwayat hai ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ki aurat banao singhar aur atar(perfume) laga kar jab mardo ki majlis se guzre to us ne goya zina kiya...
Hazoor(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya musalmaan ka jhoota banne ke liye itna hi kaafi he ki wo har sunni sunaye baat ko ek dosre se kehta phire, bila tahqeeqat afwahee baato ka charcha krna momin k liye hargiz zaiba nhi..
Jannat ki basharat:
Hazrat Umi Salma(raziallahu-anha) se riwayat ki Nabi Kareem(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya: jis momina aurat ne is haal me wafaat payi ki is ke eemani kirdaar wa amal se is ka momin shohar khush tha wo aurat jannat me jayegi..
Hazrat Abu huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) ne faramaya ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ki khanu me badtareen khana us waleema ka he jis me maldaro, khandan wa biradari k bade logun ko bulaya jaye aur zaroorat mand,aur miskeenu ko na pucha jaye..
Muhammad ki jis dil me ulfat na hogi,
samaj lo ki kismat me jannat na hogi,
kare jo ata'at Muhammad ki dil se,
usse peer-o-murshad ki hajat na hogi,
bhatakta raha he bhatakta rahe ga,
Muhammad se jis ko aqeedat na hogi...
(sallallahu-alehy-wasallam)
Hazrat Abu huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) frmate he ek shaks Rasool(sallallhu-alehy-wasallam) k pas gya usne pocha ae Allah k Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) mere husn-e-sulook ka sb se zyada haqdar kon he,
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne frmaya teri maa,usne phr pocha phr kon?
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne frmaya teri maa,usne phr pocha phr kon..
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne frmaya teri maa,usne phr pocha phr kon..
Aap(sallallhu-alehy-wasallam) ne frmaya:phir tera baap.