Categories
Religious SMS - Page 3
Hazrat Abu huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) ne faramaya ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ki khanu me badtareen khana us waleema ka he jis me maldaro, khandan wa biradari k bade logun ko bulaya jaye aur zaroorat mand,aur miskeenu ko na pucha jaye..
Muhammad ki jis dil me ulfat na hogi,
samaj lo ki kismat me jannat na hogi,
kare jo ata'at Muhammad ki dil se,
usse peer-o-murshad ki hajat na hogi,
bhatakta raha he bhatakta rahe ga,
Muhammad se jis ko aqeedat na hogi...
(sallallahu-alehy-wasallam)
Hazrat Abu huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) frmate he ek shaks Rasool(sallallhu-alehy-wasallam) k pas gya usne pocha ae Allah k Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) mere husn-e-sulook ka sb se zyada haqdar kon he,
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne frmaya teri maa,usne phr pocha phr kon?
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne frmaya teri maa,usne phr pocha phr kon..
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne frmaya teri maa,usne phr pocha phr kon..
Aap(sallallhu-alehy-wasallam) ne frmaya:phir tera baap.
Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) farmate he gunaho me se bada gunah ye he ki aadmi apne maa baap par laanat kare,
logo ne kaha ae ALLAH ke Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) bahla kon apne maa baap par laanat karega?
Aap(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya matlab ke ek shaks dosre k baap ko gali de aisa he ki wo apne baap ko gali de aur dosre ki maa ko gaali de aisa he ki wo apni maa ko gaali de...
(sahih bhukhari,kitab-ul-aqab,hadees#5973)
Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ache khawab Allah ki taraf se hote hai aur bure khawab shaitaan ki taraf se hote hai..
(sahih bhukhari,kitab-ul-taabeer,hadees#6984)
Allah k raastey me shahadat talab krney ka sawab Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya: jo shaks Allah se khaloos-e-niyat se shahadat talab karega to Allah usay bhi shaheed k martabe tak zaroor pohchaye ga, chahe wo bistar par hi kyu na mare..
(sahih bhukhari,kitab-ul-imarat)
Farman-e-Nabi(sallallahu-alehy-wasallam) he ki fajar ki 2 rakatein duniya or jo kuch is duniya me mojood hai,sab se behtar hai..
(sahih muslim,raqam#725,page)
Namaz ki fursat na mille to kya karoge,
itni mohlat na mille to kya karoge,
roz kahte ho kal padhen ge namaz,
kal agar sans hi na rahi to kya karoge..
Soney ki chnd sunatein:
1. wuzu karke sona,
2. bistar jhad ke sona,
3. dahni karwat par sona,
4. sonai ki dua padhkar sona(ALLAHUMA-BISMIKA-AMUTU-WA-AHYA)
6 HADEES:
1. Allah ki khushi baap ki khushi me he Allah ki narazgi baap ki narazgi me hai.
2. sood aur haram kamayi khaney wale ki dua qubool nhi hoti.
3. jis ne apni namazon ki fiqar chod di Allah ne uski fiqar chod di.
4. Jo shaks har waqt bawuzu rahega Allah uski rozi kushda farmayega.
5. har faraz namaz k baad ayat-ul-kursi padhney wale aur jannat k darmiyan sirf mout hai.
6. Allah us shaks ko abaad krta hai jo hadees sunkar dosro tak pohchaye.